Wishful Thinking

Wednesday, January 07, 2004



Uss Saal...




Dardon ka shor bahut zyaada thaa uss saal,
mein teri palkon ki aahat bhi na sun paaya thaa..

Mahsoos bhi nahi kar paaya thaa tere aansuuon ki garmaahat,
Tere daaman se sheeshe bhi naa chun paaya thaa...

Yun hi guzar gayi thi teri zindagi se meri zindagi,
Pahli nazar aur aakhri salaam mein koi fark hi na nazar aaya tha..!!

Posted by Varun :: 3:04 AM :: 0 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------