Wishful Thinking

Tuesday, March 30, 2004



Fariyaad



Zindagi tune kabhi aise bhi bulaaya hota,
Teri aankhon mein mera rang, tere kadmon mein mera saaya hota...

Unn ashkon mein sab jaan hi jaate ye kissa mera,
Gar tune haathon se yoon na chehre ko chhupaya hota...

Mal-o-jind ki duaa maangti-firti hai duniya,
Ya Khuda, tujhko meri nazm banaya hotaa...

Zindagi tune kabhi aise bhi bulaya hotaa...

Posted by Varun :: 2:30 AM :: 0 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------


Woh Raat...



Chaadar ki salwaton mein, jaise kahaani ho gayi,
Woh raat nahi beeti, ik zindgaani ho gayi.

Baadal the woh falak par, ya Jism ka dhuaan tha,
Tu thi mere sirhaane, aur aag paani ho gayi.

Thi Ungliyon mein teri, ik mauj ki shararat,
Masoom thi woh dhadkan, jo baad-baani ho gayi.

Woh sharm ka hi rang thaa, aankhon mein teri bikhra,
Koi kahe phir humse, 'haya' purani ho gayi.

Ghar laut-ti thi jab tu, woh aakhiri pahar thaa,
Uss sahar ki woh sardi, teri nishaani ho gayi,
Woh raat nahi beeti, ik zindgaani ho gayi....




Posted by Varun :: 2:25 AM :: 2 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Monday, March 15, 2004



Murda



Bhokh khatm huyi tab,
Jab waqt khaa gaya,
Sapne mere...

Aur pyaas nahi lagi tabse,
Jabse piye hain,
Aansoo tere...

Chalna chaha kai baar,
Utha bhi..par,
Dagar nahi mili !

Aankhein chahin kholni,
Roshni zaraa si bhi,
Magar nahi mili !

Band ho chuki harkat,
Iss dil ki,
Jaane kabse...!!

Zindagi ne maut se,
Badal liye,
'Maane' kabse...!!

Iss pakki mitti ko,
Kahin to,
Iske rang se mila do...

Uss kacchi sadak ke kinaare,
thodi si,
Kacchi mitti dilaa do...!!

Posted by Varun :: 10:52 PM :: 0 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------


Safar


Chalti-rukti baaton mein,
Jalti-bujhti raaton mein,

Tere khwaab uthaaye kandhon par,
Tere waade liye haathon mein,

Chale jaa raha hoon, pare waqt ke,
Ki ab mein nahi kamzaaton mein..!!

Posted by Varun :: 10:49 PM :: 0 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Tuesday, March 02, 2004



Saaye...



Jiss Dariya Mein Chaand Nahi Ugta Aajkal,
Jiske Kinaare Ab Taaron Ki Roshni Mein Jalte Hain...
Tu Palat Gayi Thi Do Kadam Jis Raah Pe Chalke,
Tere Mere Saaye Ab Bhi Uss Raah Pe Saath Chalte Hain..!!


Posted by Varun :: 9:30 PM :: 0 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------