Wishful Thinking

Thursday, April 06, 2006



Triveni - 3

(As you can guess, Triveni bug has bitten me hard and here is the third set in the series. This time, I have tried more of romantic-fantastical themes, so not much of an experimentation, as far as the construction goes; emphasis is more on the feel.)

Pal

Ghaayal huye zamana hua,
par yaadon ka namak barasta hai.
Dekh yeh pal, ab bhi tadapta hai...

Bar-qaraar

Jab tu gussey mein jaati hai, palat-ti bhi nahin,
aur khaati hai thokar, main samajh jaata hoon.
Mohabbat bar-qaraar hai.

Aawaaz

Aawaazon ki bheed aur khayaalon ki hulchul se parey,
Koi sunsaan mazhab chalaaya jaaye.
Teri aankhon ko namaaz, mujhe namaazi banaya jaaye.

Chaand

Chaand shab bhar kyun akadta hai,
Daayam toh hai tu, daayar nahin.
Hoga haseen tu, par main koi shaayar nahin.

(Daayam: permanent, Daayar: Limit)

Ada

Dhoop mein, iss-se chhanti hain kiranein,
Barsaat mein halki boondein aati hain.
Mere toote chhaatey mein, teri ada hai Dilbar.

Posted by Varun :: 12:50 PM :: 9 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Saturday, April 01, 2006



Triveni - 2

(Continuing with my previous post of Trivenis, here are a few more experiments.)

Aaraam

Ek lamha aata hai, ek lamha jaata,
Ek yaad aati hai, ek yaad jaati.
Waqt yeh muaah, aaraam kyun nahin karta!

Duaa

Lakeerein sab mitt si gayi hain,
Jaan bhi baaki nahin inn ungliyon mein.
Bas duaa hi karta hoon, inn haathon se ab.

Aa ja

Riste hain ehsaas, phoot rahi yaadein,
Kahin beh na jaayein, saath bitaaye saare lamhe.
Aa ja kahin se, apni saanson ka paiband laga de..!

Khat

Kai baar aisa hua hai, khat likhte-likhte,
Kalam dhadakne lagti hai, kaagaz jaag jaata hai,
Naam Mohabbat, Pata Zindagi.

Yahi kah kar...

Deewaron se baahar niklo, duniya dekho,
Ujaale tubelight ki roshni se zyada milenge.
Yahi kah kar chal diye, har aashiyaane se...

Posted by Varun :: 1:00 PM :: 4 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Thursday, March 30, 2006



Triveni

Triveni is a form of composition invented and popularized by Gulzar saab, where a three line poem is complete in itself in the first two lines, and the third line either accentuates or completely changes the perspective in which the first two lines are viewed. Though, this rule is not always followed by Gulzar saab himself and sometimes, the three lines taken together only, make a complete poem.

Here's my first set of Five:


Disha

Raat hamesha, bina poochhey, dhamak aayi khidki se,
Din shareef, roz darwaaze pe dastak deta hai.

Zindagi, tera ghar pachhim kyun hai..!

Bazaar

Duniya ke iss bazaar mein, kangaal yaar tha,
Khudgarz tha, kisson ka uske ooncha daam tha.

Taareef ke saudey ki par, roti achhi bani.

Gustaakhi

Nigaahon se na pilaao tum,
Mishri na gholo...

Aakhiri roza bhi toot jaayega!

Talaab

Pathhar jo maara tha maine talaab mein,
Uski chhintein, tujh par bhi aayin thi..

Par aaj sirf main hi nam hoon, talaab toh sookh chala.

Naam

Mujhse koi naam mera na poochhey,
Mere naam ke maane nikal aayenge.

Koi kahega matlabi, koi be-matlab..!


Posted by Varun :: 2:49 AM :: 9 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Tuesday, January 17, 2006



Mumbai

(Here's my personal tribute to the city which has been my home for the last year and a half, and has given me more food for thought than any other place on Earth could ever do. )

Aatte ki yeh chakki hai,
gehoon ka sa pisna hai,
Tandoor pe pakna hai,
Paani se nigalna hai...

Bin baat ka hansna hai,
bin baat ka rona hai,
Sholon pe se chalna hai,
footpath pe sona hai...

Har raat niraali hai,
har din yahaan kaala hai,
behta hai toh aansoo hai,
pee jaao toh haala hai...

Hai jeet, toh khuda tu,
hai haar - begaana hai,
himmat hai toh aa jaana,
yeh shehar deewaana hai...

Posted by Varun :: 11:24 AM :: 8 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------


Pathhar

Tere khat na udein,
Yeh dil na dukhey,

Tabiyat na phisle,
Kamzor chhat na gire,

Humne pathhar rakh liya!

Posted by Varun :: 11:10 AM :: 6 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------


Hasrat

Khoon kalam se behta rahe,
Kaagaz kharaashein sehta rahe,

Zubaan tham jaaye, ya band ho aankhein,
Dil be-imaan, kuchh kehta rahe...

Posted by Varun :: 11:03 AM :: 2 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------


Ho...na ho

Baatein kuchh aisi hon,
jinka matlab na ho...

Log kuchh aise milein,
jinka mazhab na ho...

Khushiyaan baandh le koi kahin,
dard ki sarhad na ho...

Har lamha bidaai hai,
jaankar hairat na ho...

Posted by Varun :: 4:07 AM :: 2 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Sunday, April 17, 2005



Arth

Shabdon ke dher,
Aksharon ke ambaar,
Ankon ki kataar....

Yahi guzarte hain nazar ke aage se,
Baar baar...

Arth kho gaye hain,
Tere khat,
Ab arth-shaastra ho gaye hain...!!

Posted by Varun :: 7:10 AM :: 4 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Tuesday, June 01, 2004



Shehar aur Zindagi



Kucch theek se dikhta nahi aajkal,
Shehar ki roshni ki chamak hai.

Jalebi bhi meethi nahi lagti,
Pani mein kucch zyada namak hai.

Tu aawaaz deti hai, mein sun nahi pata,
Sikkon ki ye aisi khanak hai.

Apne saaye se bhi naata tod aaya hoon ab to,
Jaane meri ye kaunsi sanak hai !

Posted by Varun :: 2:56 AM :: 3 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------

Tuesday, March 30, 2004



Fariyaad



Zindagi tune kabhi aise bhi bulaaya hota,
Teri aankhon mein mera rang, tere kadmon mein mera saaya hota...

Unn ashkon mein sab jaan hi jaate ye kissa mera,
Gar tune haathon se yoon na chehre ko chhupaya hota...

Mal-o-jind ki duaa maangti-firti hai duniya,
Ya Khuda, tujhko meri nazm banaya hotaa...

Zindagi tune kabhi aise bhi bulaya hotaa...

Posted by Varun :: 2:30 AM :: 0 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------


Woh Raat...



Chaadar ki salwaton mein, jaise kahaani ho gayi,
Woh raat nahi beeti, ik zindgaani ho gayi.

Baadal the woh falak par, ya Jism ka dhuaan tha,
Tu thi mere sirhaane, aur aag paani ho gayi.

Thi Ungliyon mein teri, ik mauj ki shararat,
Masoom thi woh dhadkan, jo baad-baani ho gayi.

Woh sharm ka hi rang thaa, aankhon mein teri bikhra,
Koi kahe phir humse, 'haya' purani ho gayi.

Ghar laut-ti thi jab tu, woh aakhiri pahar thaa,
Uss sahar ki woh sardi, teri nishaani ho gayi,
Woh raat nahi beeti, ik zindgaani ho gayi....




Posted by Varun :: 2:25 AM :: 2 comments

Post a Comment

---------------oOo---------------